Saturday, July 2, 2011

Ajab takaazy han chahaton k
Bari kathan ye musaftein hain !

Main jis'ki raahon min bick gaya hun
Ussi ko mujh'se shikaytein hain !

Shikaytain sab baja hain lekin
Main kesy us'ko yaqin dilaon

Jo mujhko jaan sy Aziz'tar hy !
Usay bhulaon to marr na jaon

Main khamoshi k is imtihan min
Kahan kahan se guzar gaya hun !

Usay khabar b nahi hy shayad
Main dheery dheery Bikhar gaya hun.....! (IMR@N)

Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,

man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan……..

Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai……..

Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai……..

Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya………

composed by..Engr Muhammad Imran Ghafoor
a good poet,,,,I M VERY LIKE THISSSS

Wednesday, June 29, 2011

KUCH AISA LAGTA HAI

KUCH AISA LAGTA HAI........................................................
KUCH AISA LAGTA HAI

Selected By Muhamamd Imran Ghafoor

Tuesday, June 14, 2011

Dard Ki Shama "
Nain Khulte Naa The, Neend Aati Naa Thi

Raat Ahista Ahista Dhalti Rahi

Saare Aouraaq-E-Gham Muntashir Hogaye

Deir Tak Dil Me Aandhi Si Chalti Rahi

Ek Kone Me Sar Jhukaye

Dard Ki Shamaa Afsardah Jalti Rahi

Qatra Qatra Guzarti Rahi Sa'atein

Saye Leite Rahe Dhoop Chalti Rahi

Ranj Pichli Massarath Ke Sehte The Hum

Gham Aur Mein Do jism Ek Jaan Ki Tarah Rehte The Hum

Din Dhalte Rahe Subha Shaam Hoti Rahi

Ghaam Se Milne Ki Surat Roz Nikalti Rahi

Bichadi Hui Raatoun Me Se Ek Raat Me

Hum Ek The Khawab-E-Mulaqat Me

Dono Ek Doosre Ki Taraf Chal Pade

Khawab Ghat'ta Raha Raat Dhalti Rahi


BY
MUHAMMAD IMRAN 

                                               kisi shb men achanak laut aaoon ga!!

Hay maslak jab wafa apna to tum say raaz kia rakhna

Mujhay ghazi bulaatay hain to phir jaan kioon BACHA rakhna

Bapaa hay jang toofani shaheedon ka pata rakhna

Jo zalim hain wo gharat hoon labon pe ye dua rakhna

ghm-e-jaan ko dba rakhna, khuda ka aasra rakhna

Agar shab mein ho tanhai to khwabon ko jaga rakhna

tareeq apna haya rakhna , sulook apna wafa rakhna

Zamaanay kay hawadis say umeedon ko bacha rakhna

Dareechay ko khula rakhna, diya is main jalaa rakhna

Agar main dair bhai kar doon na mujh say kuchh gila rakhna

Agar main kaam aa jaoon to sun kar dil bara rakhna

Jo kuchh naalay uthanay hon qayamat par utha rakhna

Kisi shab main achanak loat aaoon ga

Tribute To Shodha OF Pakistan Army who give life for our country where we are living peaceful way
Special to Air Chief Marshal Mushaf Ali Mir From Sargodha.
Regards
Muhammmad Imran Ghafoor

PYAR WALI NAGHA KE TALASH

Saghar Sadique