Sunday, July 3, 2011
Kisi Din Tez Barish Main
Kisi Din Tez Barish Main
Agar Tum Bhee...g Jao To
Agar Barish K Ye Qatray
Tumhari Zulf Ko Chu Kar
Tumharay Gaalon Ko Chumen
...Agar Barish K Pani Say
Agar Thandi Hawaon Say
Kisi Purzor Jhonkay Say
Meri Jan Jhoom Jao To
Mujhy Tum Yaad Kar Lena
Agar Khwahish Ho Aisay Main
Koi Sathi Ho Bahon Main
Jo Chheray Zulf Ko Teri
Teray Rukhsar Ko Choomay
Tu Jhoomay Us Ki Bahon Main
Teri Bahon Main Wo Jhoomay
Mujhy Tum Yaad Kar Lena
Aao Barish se Poochain
Aao Barish se Poochain
Kya us se bhi waada kar ke
Chor gaya hai koi us ko?
Kya us ko bhi neend nahi aati barson se?
Kya us ko bhi phoolon se shikwa hai koi?
Us ke sath bhi khail hawaon ne khela hai?
Dhuwan dhuwan sa us ka chehra kyun hai aakhir?
Bheegi bheegi us ki palkein kis ne kar dien?
Aao baarish se poochien…!
BY M MRAN
Saturday, July 2, 2011
Barishoon Ki Zadd Mein Hoon.........
Barishoon Ki Zadd Mein Hoon.........
Toa Is Qadar Tu......!!!!
Muztaribb Kyun...??????
......
Meinne Toa Apni....
Har Eik Khuwaish Ka Mausum...
Tujko Soom'pa Tha.....!!!
Teray Haaton Mein Tha.....
.
Mujko Hansi Pehnatey .........!!
.
.
Ya Aanso...........
IMR@N
Mohabbat Karne Wa K nam ...
•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥
Mohabbat Karne Wa K nam ...
Qurban Ho Jaun Us Shakhs K Hathon Ki
Lakeeron Par........
Jis Ne Tujhe Manga Bi Nahi aur
Tujhe Apna Bana Liya...
IMR@N
Ajab takaazy han chahaton k
Bari kathan ye musaftein hain !
Main jis'ki raahon min bick gaya hun
Ussi ko mujh'se shikaytein hain !
Shikaytain sab baja hain lekin
Main kesy us'ko yaqin dilaon
Jo mujhko jaan sy Aziz'tar hy !
Usay bhulaon to marr na jaon
Main khamoshi k is imtihan min
Kahan kahan se guzar gaya hun !
Usay khabar b nahi hy shayad
Main dheery dheery Bikhar gaya hun.....! (IMR@N)
Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan……..
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai……..
Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai……..
Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya………
composed by..Engr Muhammad Imran Ghafoor
a good poet,,,,I M VERY LIKE THISSSS
Labels:
Urdu Poety Collections
Subscribe to:
Posts (Atom)

