WO HAR BAAT—————-
aine chhupayausse
Meri khamosh nigaaho ne usse hi bayan kar diya
Jo fasana daba rah gaya tha dil me kabhi
Na tha kasoor mera in aankho ne sab bayaan kar diya
Wo sharm wo haya wo shadgi wo chilman meri
Samne jo wo aaye to jaane kab sab ne sath chhod diya
Har sans par wo dhadkan ki tarah yaad aate hai
Ab to yu lagta hai ki hamne haseen gunaah kar diya
Dil ki jo hayat-e-khalish thi jo chhuppi dil me
Uske payar ki mahtaab ne har raaz bata diya
Lafjo tak hi na khatam hui thi dil ki baat
Ussne khawbo ko bhi khush gawar bana diya
Meri har kalam to ab udhti hai bas unke liye
Sara-e-nazam ko maine apne dilber ke naam kar diya
No comments:
Post a Comment